comscore
Bollywood Hungama
Bollywood Entertainment at its best
Last Updated 18.04.2024 | 9:46 PM IST
  • LANGUAGE

  • FOLLOW US ON

  • FEEDBACK

Lyrics

Dil ki purani sadak par
Badla to kuchh bhi nahi
Mujhe thaam kar chal raha hai
Tu hi bas tu hi har kahin

Naye phool dil ki zameen pe khilenge
Hai milna humein phir se milke rahenge
Sitare wahi hain wahi aasmaan hai
Meri dhadkanon mein teri dastan hai
Main awara lamha tu mera mukaam

Kaise juda hote hum tum
Bichhde hi jab hum nahi
Mujhe thaam kar chal raha hai
Tu hi bas tu hi har kahin

Na saanson se shikwa na mitne ka dar hai
Tujhi se tujhi tak yeh mera safar hai
Tujhe sochta hoon to khushbu si barse
Andheron se mere ujale yoon chal ke
Ke dariya bahe jaise ek noor ka

Tu rooh ka humnawa hai
Yeh jismon ka rishta nahi
Mujhe thaam kar chal raha hai
Tu hi bas tu hi har kahin

Dil ki purani sadak par
Badla to kuchh bhi nahi
Mujhe thaam kar chal raha hai
Tu hi bas tu hi har kahin

Copyright © 2024 Hungama Digital Media Entertainment Pvt. Ltd. All Rights Reserved.

jukebox

Music

shuffle

lyrics
share
volume
Forgot Password
Please provide your registered email address or username
  • OR
Write A Review
  • Click to rate on scale of 1-5
  • 5000 characters remaining

New notification