teri ummid,teri baatein
woh lamha lamha katati tere naam se raatein
dard se yuun mulaakaat hogi
dil ne ye na jaana
nazdikiyon mein duriyon ki baat hogi
dil ne ye na jaana,na jaana
teri yaadon ke ghane saayein
ye kaise manjar par mujhko hain lekar aayein
is tarah ashq ki barsaat hogi
dil ne ye na jaana,na jaana
teri ummid,teri baatein
woh lamha lamha katati tere naam se raatein
is tarah bechaingi mere saath hogi
dil ne ye na jaana,na jaana
dard se yuun mulaakaat hogi
dil ne ye na jaana,na jaana
na jaana