Jo beeta hai woh kal hai
Ye jo naya pal hai
Aa thaam le isse zara
Dheere dheere sang tere
Bin ye sambhalne laga
Jo sapne sambhaale
Ab tere hawaale hain
Aa dekh le inhein zara
Bandhi saansein is tarah se
Ki mausam badalne laga
Milaa yun jaise bichhda na tu
Mila yun
Gila yun jaise bigda na tu
Gila yun
Mera hai tu mera
Ho teri khushbu liye ab mehka karun
Teri aankhon se baatein karun
Teri saanson mein dhadkanein sunu
Jee uthoon
Meri lakeerein ab hain
Tere hathon mein
Ban jaaun saaya tera
Muskurane ka bahana
De doon tujhe naya naya
Milaa yun jaise bichhda na tu
Mila yun
Gila yun jaise bigda na tu
Gila yun
Mera hai tu mera
Mera hai tu mera