Phir se milne ki jahan pe
De gaye thhe tum qasam
Dekh lo aa kar wahiñ pe
Aaj bhi baithe huye haiñ hum
Tumhare thhe
Tumhare haiñ
Tumhare hi rahenge hum
Tumhare thhe
Tumhare haiñ
Tumhare hi rahenge hum
Muddateiñ bhi chand lamhoñ
Jaisi lagti haiñ sanam
Baat hi aisi tumhare
Ishq mein kuchh hai
Mere humdum
Tumhare thhe
Tumhare haiñ
Tumhare hi rahenge hum
Tumhare thhe
Tumhare haiñ
Tumhare hi rahenge hum
Vaada tha kab ka
Ab jaa ke aaye
Phir bhi ganeemat aaye toh haiñ
Vaada tha kab ka
Ab jaa ke aaye
Phir bhi ganeemat aaye toh haiñ
Aaiye aaiye shauq se aaiye
Aaiye aake iss baar na jaiye
Bichhad ke bhi humsafar se
Vafa jo kar paye haiñ
Iss aatish ke samandar se
Wahi toh guzar paaye haiñ
Nahin mili heer toh kya
Rahe usi ke vo phir bhi
Tabhi ranajhe wahi sach maayne mein
Kehlaaye haiñ
Kehlaaye haiñ ..
Wahi sachhi mohabbat hai
Kabhi hoti nahin jo kam
Tumhare thhe
Tumhare haiñ
Tumhare hi rahenge hum
Vaada tha kab ka
Ab jaa ke aaye
Phir bhi ganeemat aaye toh haiñ
Vaada tha kab ka
Ab jaa ke aaye
Phir bhi ganeemat aaye toh haiñ
Aaiye aaiye shauq se aaiye
Aaiye aake iss baar na jaiye