Prasoon Joshi's poem for the legendary Dilip Kumar

By Bollywood Hungama News Network -

 

align="right"/> A couple of days back, the living legend Dilip Kumar's biography was released amidst much fanfare. It's totally needless to say that this event was attended by the who's who of Bollywood. Amongst the other highlights of the evening, was the soulful recitation of a heartfelt poem by Aamir Khan, which was penned by Prasoon Joshi.
Prasoon Joshi's poem for the legendary Dilip Kumar

 

Bollywood Hungama brings the very poem for our esteemed readers. Read this and feel blessed!


 

Zikr Uksa


 

Guzaarish hain hawaaon ki humein suraj se milwaao

 

humein bhi roshni ke kaafilon ke saath le jaao

 

lekin humein maloom hain apni hadein hum kuch kaise bolein

 

khili ho dhoop toh nacheez deepak kaise mooh kholein

 

magar mausam ki zidd hai, phool bhi israar kartein hain

 

unhe milna hai suraj se, who usko pyaar karte hain

 

chalo kartein hain koshish aaj uska zikr kartein hain

 

ujaalon ke samandar mein zara sa hum utartein hain


 

Ajab sa ye samandar hai jo tumse milne aata hai

 

Khuda rehna nahi chahta, tumhaare saath gaata hai

 

Samundar ko nahi maloom uska dil kahaan tak hai

 

use toh katra katra bas chalak jaane ki aadat hai


 

Use tha aasmaa choona magar apni hi sharton par

 

use tha jeetna who bhi magar apne hi sharton par

 

woh aisi roshni chaahta tha jismein ho na angaare

 

who aisi jeet chahta tha jahaan koi bhi na hare!



 

Darakhton ke usoolon ko samajhne ki karo koshish

 

alag mitti se bante hain alag hai unki har khwaaish

 

woh ghamle ka nahi paudha jahaan chaahe ugaa do tum

 

jahaan chaahe laga do tum, jahaan chaahe sajaa do tum.

 

woh ugtein hain zameen pe dil ki, dil mein hi dhadaktein hain

 

woh logon se judein hain aur unhi mein zindaa rehtein hain


 

Chamakti cheez ko choone ko duniya paas aati hai

 

ho shohrat paas jiske sur mein uske sur milaati hai

 

magar suraj utarta hai toh bheedein chhatti jaati hain

 

kahin sajde kahin izzat, ibaadat muskuraati hai

 

Ise shohrat nahin kehte, bas uska noor kehtein hain

 

bulandi bhi nahi kehte, karam bharpoor kehtein hain!


 

Woh kehta hai mere hisse ki khushiyaan bhaant do jaakar

 

hain jitna dard sab bhar do mere seene mein tum laakar

 

meri jholi mein jo aayega, main woh sab lutaaunga

 

jahaan se jo mila hai sab jahaan ka de ke jaaunga!


 

Mili sabko zubaan par aankh uski baat karti hai

 

mile sohbat agar uski toh khaamoshi bhi kehti hai

 

bas uska zikr karne se sanvarte jaayengey hum bhi

 

dhulengey uski baarish mein nikharte jaayengey hum bhi

 

sanvarte jaayenegy hum bhi


 

nikharte jaayengey hum bhi!

Catch us for latest Bollywood News, New Bollywood Movies update, Box office collection,New Movies Release, Bollywood News Hindi, Entertainment News, Bollywood News Today & upcoming movies 2024 and stay updated with latest hindi movies only on Bollywood Hungama.


Next Article