Teri Yaad

By Bollywood Hungama News Network Thu Feb 11 0:00:02 IST

Teri Yaad Lyrics

Teri yaad mere dimaag mein

Aise hai basi

Na hi behte hain aansu

Na hi aati hai hansi

Kyun tu gayi aur kahan pe gayi

Ye sab mujhko nahi pata

Mujhko toh bas koi yahi bata de

Ki meri kya thi khata



Teri yaad hai har jagah

Teri yaad hai har jagah

Nahi milna humara... bewajah



Aashiqui tujhse

Yunhi nahi hai

Koi na koi, hai wajah (x2)



Teri yaad hai har jagah..



Hona tha jo ho gaya

Khona tha jo kho gaya

Pyaar mein tere padke

Pagal hona hi tha ho gaya



Ab yahi deewanapan sar chadhke bole

Main kya karun?

Ik chhota sa sawaal hai

Main jiyun ya marun



Tanha katega, kaise ye safar

Mujh mein zinda tu hai iss qadar

Jis ehsaas ko lafzon mein kehna..

Hai mumkin nahi ye, ab mera



Aashiqui tujhse

Yunhi nahi hai

Koi na koi, hai wajah



Teri yaad hai, har jagah..



Teri yaad mere dimaag mein

Aise hai basi

Na hi behte hain aansoo

Na hi aati hai hansi

Kyun tu gayi aur kahan pe gayi

Ye sab mujhko nahi pata

Mujhko toh bas koi yahi bata de

Ki meri kya thi khata



Katra katra, toot raha hoon

Ishq mein tere, doob raha hoon

Bikhre din hain beparwah raatein hain

Kashish kuch ye aisi, bepanah



Aashiqui tujhse

Yunhi nahi hai

Koi na koi, hai wajah (x2)



Teri yaad hai, har jagah..

Teri yaad hai, har jagah..