Adhuri Zindagi

By Bollywood Hungama News Network Mon Feb 15 0:00:01 IST

Adhuri Zindagi Lyrics

Dil akela hai bada

Kyun rahoon main tanha



Yeh ilteja hai, tujhse meri

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal (x2)




Dil akela hai bada

Kyun rahoon main tanha



Yeh ilteja hai, tujhse meri

Adhuri zindagi hai, Tu karde mukammal

Adhuri zindagi hai, Tu karde mukammal (x2)



Jab bhi kabhi, falak pe nazar jo gayi

Toh socha maine har pal ye hi, tu hai khudaya

Musalsal ye hi, chalein hain armaano mein bhi

Guftagoo tune jo ki, dil ko rulaya



Sajdon mein jab bhi tera hi naam leke

Ye ser jhukaya

Tere hi asqon mein maine ye kyun

Apna hi aks paaya



Dil akela hai bada

Kyun rahoon main tanha

Yeh ilteja hai, tujhse meri

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal (x2)



Aksar yahan mila hai sabko hi dagah

Magar mujhko hai mili teri panahein

Firta kahan main dar-dar tanha yahan

Jo rehti na yun mere sang teri duaayein


Maazi ki yaadein jalti hain saath

Muskil tujhe bhulana

Mujhko ye raatein deti hain zakham

Marham mujhe lagana



Dil akela hai bada

Kyun rahoon main tanha



Yeh ilteja hai, tujhse meri

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal

Adhuri zindagi hai

Tu karde muqammal (x2)