Kuchh Toh Hua Hai

By Bollywood Hungama News Network Fri Jul 25 0:00:32 IST

Kuchh Toh Hua Hai Lyrics

Raaton ko apni palkon se

Khwaab sajaane do (khwaab sajane do)

Phir khaabon ko aankhon se

Neend churaane do...



Khaamoshiyan rakhti hain

Apni bhi ek zubaan

Khamoshi ko chupke se sab keh jaane do



Kuch to hua hai (ye kya hua)

Jo na pataa hai (ye jo hua)

Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na..)



Jo kadam kadam chalun

Tujhe hi tay karun main

Saansein bankar tujhe odh lun

Tu khayaal sa mila hai

Jisko gin sakun main

Aadaton mein tujhe jod lun



Tujhse roshan raatein saari


Tujhpe hi khatam baatein saari

Khaamoshiyan rakhti hain

Apni bhi ek zubaan

Khamoshi ko chupke se sab keh jaane do

Kuch toh hua hai (ye kya hua)

Jo na pataa hai (ye jo hua)

Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na..)



Tujhe ek baar pyaar se jo chhu sakun main

Waqt ko phir wahin rok doon

Phir dil machal ke gar hadon ko bhool jaaye

Dhadkano ka safar chhod doon



Tune di hai saari khushiyan

Tu hai toh hai meri duniya

Khaamoshiyan rakhti hain

Apni bhi ek zubaan

Khamoshi ko chupke se sab keh jaane do

Kuch toh huaa hai (ye kya hua)

Jo na pataa hai (ye jo hua)

Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na..)