Khuda Na Khasta

By Bollywood Hungama News Network Fri Jan 24 0:00:30 IST

Khuda Na Khasta Lyrics

Tukdon ki yeh... tasveer hai...

Tukdon mein bhi lekin haseen tehreer hai

Kehne ko yoon.. keh leejiye...

Tewar bhari se badnuma yeh zanjeer hai



Yeh zindagi jua hai

Kisko yakeen hua hai

Baaziyan na munasib kahin badh jaaye na

Ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai

Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na



[Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kare

Khuda na khasta]



Ik haath mein... sau haath hai...

Aur doosre mein ranjishein hain, jazbaat hain

Na jaane kyun... iske liye...

Kohraam mein kuchh itminaan si baat hai



Yeh zindagi dhuaan hai

Kisne ise chhua hai

Titliyon ki tarah shokh hai, udd jaaye na

Ek tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai

Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na




[Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kare

Khuda na khasta]



O.. jeene ko jo aashiyana biyabaan hai

O.. palta ussi aashiyaane mein toofan hai



Saaiyaan... saaiyaan...

[Aalap]



Itni silvatein maazi mein padi

Jeene ki wajah unse thi badi

O... zaaya baat kyun shikwon mein karein

Adhoori hasratein dar pe hain khadi



O.. yeh zindagi nasha hai

Takleef mein maza hai

Iski fitrat mein hi jung hai, chhid jaaye na

Ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai

Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na



[Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kare

Khuda na khasta] x 2