Mardaani Anthem

By Bollywood Hungama News Network Thu Aug 7 0:00:58 IST

Mardaani Anthem Lyrics

Aaj se ab se aan meri main

Tumko na chhoone doongi

Jaan ko chahe chhalni kardo

Maan ko na chhoone doongi



Aaj se ab se aan meri main

Tumko na chhoone doongi

Jaan ko chahe chhalni kardo

Maan ko na chhoone doongi



Chhoo ke dekho dil mera

Tumhein dil mein apne bhar loongi

Par chhed ke dekho tum mujhko

Main tumko nahin chhodoongi

Main tumko nahin chhodoongi

Tumko nahin chhodoongi



Skirten saadi, raat dopehri

Darr darr ke nahin chaloongi

Candle jala ke sandal dikha ke

Marr marr ke nahin jaloongi



Kadam mila ke dekho toh

Main saath mein tere chal doongi

Par chhed ke dekho tum mujhko

Main tumko nahin chhodoongi

Main tumko nahin chhodoongi

Tumko nahin chhodoongi



Mardon waali baat kehke mujhe

Bhed samajh ke bechoge

Un baazaaron mein teri main

Nasalon ko mita doongi



Jiss duniya mein maa behanein

Rishte nahin hain gaali hain

Uss duniya se maryaada ke

Rishte saare todoongi



Nazar badal ke dekho toh

Main nazar nahin lagne doongi

Par chhed ke dekho tum mujhko

Main tumko nahin chhodoongi

Main tumko nahin chhodoongi

Main tumko nahin chhodoongi



Aaj se ab se aan meri main

Tumko na chhoone doongi

Jaan ko chahe chhalni kardo

Maan ko na chhoone doongi



Chhoo ke dekho dil mera

Tumhein dil mein apne bhar loongi

Par chhed ke dekho tum mujhko

Main tumko nahin chhodoongi

Main tumko nahin chhodoongi

Tumko nahin chhodoongi...