Rama Re

By Bollywood Hungama News Network Mon Jun 24 0:00:18 IST

Rama Re Lyrics

Collar ko thoda sa upar chadhaake
Cigarette ke dhuein ka chhala banaake
Sochna hai kya, jo hona hai hoga
Chal pade hai fikr yaar dhuein mein udaake

Jaane kya hoga rama re,jaane kya hoga maula re

Dollar bhi chaahiye inhe pound bhi chaahiye
Sone ke sikkon ka sound bhi chaahiye
Hey,banda yeh dheet hai yeh kuch nahin jaanta
Banda yeh dheeth hai yeh kuch nahin jaanta
Isko jo maangta to maal paani maangta

Sochna hai kya,jo hona hai hoga
Chal pade hai fikr yaar dhuein mein udaake

Jaane kya hoga rama re,jaane kya hoga maula re

Apne begaane yeh sab chhod aaye
Pyaar ki rasmon ko yeh tod aaye
Anjaane raaston ke vaaste yeh
Zindagi se bhi munh mod aaye

Sochna hai kya, jo hona hai hoga
Chal pade hai fikr yaar dhuein mein udaake

Jaane kya hoga rama re,jaane kya hoga maula re