Jaane Tere Shehar

By Bollywood Hungama News Network Thu Oct 1 0:00:17 IST

Jaane Tere Shehar Lyrics

Jaane tere shehar ka kya iraada hai

Aasmaan kam, parindey zyada hain

O.. jaane tere shehar ka kya irada hai



Khushi ka hissa

Gham ka hissa

Ghoont ka hissa

Dum ka hissa

Zakhm aur marham ka hissa

Dil-farosi ka ye qissa



Jaane tera ishq bhi

Kya tamasha hai

Raat ko mulzim

Din mein Khuda saa hai




Jaane tere shehar ka kya iraada hai



Jaane hum pe kaun si aisi tohmat hai

Samajh na paayein aib hai yaa ye aadat hai

Malmal mein lipte hain

Phir bhi bikhre hain

Bas ye jaam humara hai, hum iske hain



Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai

Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai

Har ghadi zinda.. har din naya saa hai



Jaane tere shehar ka kya iraada hai