Humdard

By Bollywood Hungama News Network Wed May 28 0:00:18 IST

Humdard Lyrics

Pal, do pal, ki hi kyun hai zindagi

Iss, pyar, ko hai sadiyaan kaafi nahi

Toh khuda se maang lun

Mohalat main ik nayi

Rehna hai bas yahaan

Ab door tujhse jaana nahi

Jo tu mera humdard hai

Jo tu mera humdard hai

Suhaana har dard hai

Jo tu mera humdard hai



Teri muskurahatein hain taaqat meri

Mujhko inhi se ummeed mili

Chaahe kare koi sitam ye jahaan

Inme hi hai sadaa hifaazat meri

Zindagani badi khoobsurat hui

Jannat ab aur kya hogi kahin

Jo tu mera Humdard hai

Jo tu mera Humdard hai

Suhaana har dard hai


Jo tu mera Humdard hai



Woooo...



Teri dhadkano se hai zindagi meri

Khwahishein teri ab duaaein meri

Kitna anokha bandhan hai ye

Teri meri jaan jo ek hui

Lotunga yahaan tere paas main haan

Waada hai mera mar bhi jaaun kahin

Jo tu mera humdard hai

Jo tu mera humdard hai

Suhaana har dard hai

Jo tu mera humdard hai



hmmm.. humdard hai

hmmm.. humdard hai

hmmm.. humdard hai

hmmm.. humdard hai...