Dushman Mera

By Bollywood Hungama News Network Fri Nov 18 0:00:15 IST

Dushman Mera Lyrics

Koi jaane na


Yeh kaisi aag hai

Mere dil ko dasta

Yeh kaisa naag hai

Har ghadi, mainm jisko dhoondun

Bachke na jaayega

Haan kahin, na kahin toh ik din

Mujhe mil hi jaayega

Dushman mera




Mujhe dhoondna, aasaan hai kahaan

Zameen dekh lo, ya aasmaan

Main ik pal yahan, main ik pal hoon wahan

Nahin paaoge, mera nishaan

Jo koi bhi, mujhko dhoonde

Woh kuch naa paayega


Dil mein hi, woh, dil ke armaan

Wapas le jaayega

Samjhe zara, dushman mera




Inn aankhon mein hai, jaane kaisi jwala

Iss ko matt bujhne dena, sunn lo mera kehna

Gusse mein kitni, tum dilkash lagti ho

Jab tak bhi reh pao tum, gusse mein hi rehna



Mera gussa toh, dekhoge ek din

Mere dil mein kya hai, jaanoge ek din

Tumse, main, itna keh doon

Woh din jab aayega


Dil mein hi, woh, dil ke armaan

Wapas le jaayega

Samjhe zara, dushman mera