Sahib

By Bollywood Hungama News Network Tue Mar 18 0:00:09 IST

Sahib Lyrics

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna



Na aadmi ki aadmi jhele ghulaamiyan

Na aadmi se aadmi maange salaamiyan

Jo fark paida ho rahe wo fark gark hon

Sabko baraabar baant yeh dharti yeh aasman

Koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna


Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna



Sab sar utha ke chal sakein, sabko yeh bal mile

Koi kisi aawaz ko, Data kuchal na de

Yahaan kaam bhi sabko mile, aaram bhi sabko

Mehnat kare jo aadmi, mehnat ka phal mile

Har bol pe, har baat pe, apna asar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna



Maula... Maula...