Chamakte Chaand Ko

By Bollywood Hungama News Network Thu Mar 3 11:10:24 IST

Chamakte Chaand Ko Lyrics

huuun huuuum aaaa aaa
chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte

huuun huuuum aaaa aaa

bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand.

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand.

mere malik,mera dil kyun tadapta hai,sulagta hai
teri marzi,teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul,kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand.

yehi aagaz tha mera,yehi anjam hona tha
mujhe barbaad hona tha,mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand.