Abhi Mujh Mein Kahin

By Bollywood Hungama News Network Mon Dec 19 0:00:16 IST

Abhi Mujh Mein Kahin Lyrics

Abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi

Jagi dhadkan nayi, jaana zinda hoon main toh abhi

Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai

Yeh lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne, isse chhoo loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara

Khushiyaan choom loon

Ya ro loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara



Hoo abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi



Hoo dhoop mein jalte hue tann ko, chhaya pedh ki mil gayi

Roothe bacche ki hansi jaise, phuslaane se phir khil gayi

Kuch aisa hi mehsoos dil ko ho raha hai

Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai

Kuch ehsaan hai, iss lamhe mein hai

Ye lamha kahaan tha mera


Ab hai saamne, isse chhoo loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara

Khushiyaan choom loon

Ya ro loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara



Dor se tooti patang jaisi, thi yeh zindagaani meri

Aaj hoon kal ho mera na ho

Har din thi kahaani meri

Ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaaye

Aane wale kal ki kyun fikar mujhko kyun sataa jaaye

Ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai

Yeh lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne, isse chhoo loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara

Khushiyaan choom loon

Ya ro loon zara

Marr jaaun ya jee loon zara